kisht-e-dil viran sahi tukhm-e-hawas boya nahin khwahishon ka bojh main ne aaj tak dhoya nahin us ki aaankhon mein bichha hai surkh tahriron ka jal aisa lagta hai ki ek muddat se wo soya nahin khwab ki anjaan khidki mein nazar aaya tha jo zehn ne us chehra-e-manus ko khoya nahin ek muddat par mile bhi to na milne ki tarah is tarah khamosh ho munh mein zaban goya nahin main ne apni khwahishon ka qatl khud hi kar diya hath khun-alud hain in ko abhi dhoya nahin dekh kar honton pe mere muskurahat ki lakir wo samajhte hain ki 'aslam' main kabhi roya nahin