kisi badan se mila mushk-bar ka matlab kisi ki aankh se phuta khumar ka matlab phir is tarah hua hum dasht-dasht phirte rahe tumhaare khat mein tha kya aur khwar ka matlab tumhaare rabte dushman se gar nahin hain to fasil-e-shahr pe yun intishaar ka matlab khuda ne man ki mohabbat ko musta’ar liya kisi ne puchha hai parwardigar ka matlab sulagte koelon par ek qadam lagaen zara samajh mein aaega phir intizar ka matlab mere 'aziz abhi aap ki zarurat hai mata'-e-dost hai khona udhaar ka matlab