kisi bhi kaam ka mera hunar nahin na sahi hawa-e-dahr muafiq agar nahin na sahi kuan hai aur sabhi naqidan-e-sher-o-adab mere kalam pe un ki nazar nahin na sahi ye teri bazm hai yan tera sikka chalta hai koi bhi baat meri mo'tabar nahin na sahi yahi bahut hai ki kuchh log sochne to lage koi bhi mera agar hum nazar nahin na sahi hawa ka kya hai hawa rukh badalti rahti hai teri nigah agar aaj idhar nahin na sahi dilon se uthne lagi hain ajab ajab lahren kisi bhi aankh mein koi khabar nahin na sahi ilaj mein to na main koi kasar chhodunga kisi dawa mein bhi koi asar nahin na sahi shajar lagae hain main ne ye kam nahin eazaz mere nasib mein 'ruhi' samar nahin na sahi