kisi ka khat hai ya ye ghazal hai ye kaisa parcha pada hua hai gulal se lab bane hain is mein kitab chehra bana hua hai nigah us ki hai jhil jaisi kaman jaisi bhawon ke niche to surkh honton ke ek jaanib bhi til ka pahra laga hua hai han sabz qindil jal rahi hai bala ki surkhi ubal rahi hai ada se palken jhuki huin hain haya ka aanchal pada hua hai lo ab hamari saqil aankhen qadim raston pe chal padi hain wafa ke khandar se kuchh pare hi hamara malba pada hua hai safed baalon ke pichhe apni jawan umri ke pal nahin hain hai ahd-e-tifli ka ek budha jo ladkhadata khada hua hai bahut hasin hai ye sachcha moti jo rang se is ke munsalik hai magar use ye khabar nahin hai hamara aansu juda hua hai hai chap us ki hamari dhadkan jo dil mein dhak dhak lagi hui hai firaq us ka visal hi hai wo ban ke dhadka laga hua hai bahut sanwara musawwiron ne bahut se dale hain rang is mein magar ye surat hai meri surat so rang is ka uda hua hai