kisi ke hath kahan ye khazana aata hai mere aziz ko har ek bahana aata hai zara sa mil ke dikhao ki aise milte hain bahut pata hai tumhein chhod jaana aata hai sitare dekh ke jalte hain aankhen malte hain ek aadmi liye sham-e-fasana aata hai abhi jazire pe hum tum nae nae to hain dost daro nahin mujhe sab kuchh banana aata hai yahan charagh se aage charagh jalta nahin faqat gharane ke pichhe gharana aata hai ye baat chalti hai sina-ba-sina chalti hai wo sath aata hai shana-ba-shana aata hai gulab cinema se pahle chand bagh ke baad utar padunga jahan karkhana aata hai ye kah ke us ne semester break kar dala suna tha aap ko likhna likhana aata hai zamane ho gae dariya to kah gaya tha mujhe bas ek mauj ko kar ke rawana aata hai chhalak na jae mera ranj meri aankhon se tumhein to apni khushi ko chhupana aana hai wo roz bhar ke khalai jahaz udate phiren hamein bhi raj ke tamaskhur udana aata hai pachas mil hai khushki se bahriya-town bas ek ghante mein achchha zamana aata hai break-dance sikhaya hai naw ne dil ko hawa ka git samundar ko gana aata hai mujhe defence ki lingua-franca nain aati tumhein to sadr ka qaumi tarana aata hai mujhe to khair zamin ki zaban nahin aati tumhein mirrikh ka qaumi tarana aata hai