kisi ke hijr ko aise mana rahe the hum ghadi mein waqt ko ulta ghuma rahe the hum nahin tha yaad sabaq apni zindagi ka hamein so imtihan ka parcha bana rahe the hum kinare baith ke aansu baha ke aae the nadi ki pyas ko pani pila rahe the hum kiya ye jurm ki apne hi dil ki sunte the yahi kahen ki khud apni saza rahe the hum hum us ke zulm ke badhne ke intizar mein the tabhi to zabt ki quwwat badha rahe the hum laga ke ek thahaka usi ke zer-e-asar bas apne zakhm ko nicha dikha rahe the hum khud apne aap ko shanon pe le ke chalte the khud apne aap ka matam mana rahe the hum