kisi ke samne izhaar-e-dard-e-jaan na karun udhar udhar ki kahun zakhm-e-dil ayan na karun laga ke aag badan mein wo mujh se chahta hai ki sans lun to faza ko dhuan dhuan na karun main us ko padhta hun injil-e-arzu ki tarah samajh mein aae to mani har ek bayan na karun ghazab hai mujh se tawaqqo zamana rakhta hai ki pa-shikastagi mein ranj-e-raftagan na karun ye hukm mujh ko mila qasr-e-khusrawi se ki main fughan sunun magar andaza-e-fughan na karun maze se soun agar hath aae sham-e-firaq main ek lamha bhi is shab ka raegan na karun utha ke sar pe phirun bar-e-arzu 'mohsin' kamar ko kham main kabhi surat-e-kaman na karun