kisi ko kya khabar ai subh waqt-e-sham kya hoga khuda jaane tere aaghaz ka anjam kya hoga giraftaran-e-gesu par nahin kuchh munhasir naseh phansa hai jo talluq mein use aaram kya hoga abas hai zahidon ko mai-kashi mein uzr-e-nadari guru rakh len usi ko jama-e-ehram kya hoga wahi rah rah ke ghabrana wahi na-kar-gar aahen siwa is baat ke tujh se dil-e-nakaam kya hoga use bhi jald utha kar taq-e-nisyan ke hawale kar nahin pesh-e-nazar jab khatm to saqi jam kya hoga yahi tute subu mitti ke kafi hain qanaat kar bilorin jam-e-mai ai rind dard-asham kya hoga taqarrub jin ko hai un ko bhi yak-guna hai mayusi ye haalat hai to phir didar tera aam kya hoga na puchho muftiyan-e-shara ka ahwal jaane do tanaffur kufr ko jis se ho wo islam kya hoga sahar furqat ki hai aur ghash pe ghash aate hain aashiq ko abhi se jab ye haalat ho gai ta-sham kya hoga zaifi mein tu 'shad' allahu-akbar pi gaya khum tak jawani mein kaho ye rind mai-asham kya hoga zamana 'shad' begari mein kyun aakhir phansata hai apahij kar diya piri ne mujh se kaam kya hoga