kisi ne dil ke taq par jala ke rakh diya hamein magar hawa-e-hijr ne bujha ke rakh diya hamein hazar hum ne zabt se liya tha kaam kya karen kisi ke aansuon ne phir rula ke rakh diya hamein hamari shohraten kharab is tarah bhi us ne kin ki apne aashnaon se mila ke rakh diya hamein hamein is anjuman mein jaane us ne kyun bula liya bula liya aur ek taraf bitha ke rakh diya hamein faqat hum ek dekhne ki chiz ban ke rah gae kisi ne aisa ishq mein bana ke rakh diya hamein hum 'eatibar' us ki har shikast mein sharik the magar bisat se alag utha ke rakh diya hamein