kisi tarah bhi kisi se na dil lagana tha khayal-e-yar mein duniya ko bhul jaana tha jo be-rukhi thi yahi rukh nahin chhupana tha mere khayal mein bhi aap ko na aana tha isi sabab se wo parde mein chhup ke baithe hain ki parde parde mein kuchh un ko rang lana tha azal se ruh jo phunki gai hai zarron mein to ye samajh lo ki jalwa use dikhana tha zamana khinch ke pahunchta hai apne markaz par zarur daera-e-zindagi mein aana tha