kisi tartib mein rakkhi na bikharne di hai main ne ye zindagi bekar guzarne di hai tang karti hai bahut tishna-labi hum ko bhi sans bharta hai agar pyas to bharne di hai itni be-rahm masihai mere pas rahi zinda kar di koi khwahish kabhi marne di hai koi gauhar teri aainda ki lahron mein nahin ek dariya ko khabar pichhle-pahar ne di hai is mashaqqat ne use tajraba inam diya ek thakan us ko magar dasht-e-safar ne di hai