kitne dil tute hain duniya ka khabar hone tak kitne sar phute hain diwar mein dar hone tak ek kanta jo nikalta hai to sau chubhte hain amn tha hausla-e-fikr-o-nazar hone tak hum ne apne se bhi sau bar mohabbat ki hai han magar dil mein kisi shokh ka ghar hone tak ab kahin raqs-e-junun hai to kahin naghma-e-khun kitni suni thi faza zer-o-zabar hone tak aaj sunta hun wahi naqsh-e-qadam chumte hain jo bahut khush the mere shahr-badar hone tak aankhon aankhon mein bhi kat jae to hum raazi hain ye andhere hai bas ek raat basar hone tak jab jhulas dega zamana to na ummid na yas shakh ko khauf hai be-barg-o-samar hone tak is qayamat ka jo puchho to koi nam nahin hum pe jo bit gai tum ko khabar hone tak ek kiran phutegi ek shokh hawa sankegi isi ummid mein jage hain sahar hone tak aur ek nara-e-mastana ki mahfil jage aur ek jam zamane ko khabar hone tak un ke honton pe wo masum tabassum ki shaguft shola-e-narm bani lams-e-nazar hone tak meri barbaadi bhi ek hashr hai lekin 'zaidi' irtiqa raqs mein hai hashr-e-digar hone tak