kitne saqi ma-e-gulfam liye phirte hain

kitne saqi ma-e-gulfam liye phirte hain
aur hum hain ki tahi-jam liye phirte hain

umr guzri ke tabassum ki tarah honton par
talkhi-e-gardish-e-ayyam liye phirte hain

tazkire hain ye chaman mein ki sabhi lala-o-gul
nikhat-e-ariz-e-gulfam liye phirte hain

sharm ai husn-e-jafa-pesha ki kuche mein tere
aaj tak hum dil-e-nakaam liye phirte hain

jaane kya dekha hai un shokh nigahon mein ki hum
apne sar muft ka ilzam liye phirte hain

jab se hum ne tere kuche se guzarna chhoda
nama-bar shahr mein paigham liye phirte hain

kya karenge wo meri raaton ko raushan 'arshad'
rukh pe jo zulf-e-siyah-fam liye phirte hain


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close