kitni mushkil se usko DhunDa hai

kitni mushkil se us ko dhunda hai
be-sabab dil kahan ye tuta hai

achchhi surat ka kya karen charcha
achchhi khushbu se phul bikta hai

us ke bachchon ki aisi sirat hai
waise inten hain jaisa khancha hai

us ke wade ki kya main baat karun
kachcha dhaga bhi us se pakka hai

teri zulfon se bas riha ho kar
main ne pinjre ka dard samjha hai

jab main phulon ko pyar karta hun
mujh ko titli se pyar milta hai

pahle mahngi thi pyar ki daulat
ab to daulat se pyar sasta hai

us ki fitrat mein baat aisi hai
jo bura hai to wo bhi achchha hai

dekhne wala ho agar 'aqib'
zakhm aankhon mein dekh sakta hai


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close