koi an-hona waqia nahin hai ishq mere liye naya nahin hai tujh ko har baat ka pata nahin hai tu mera ishq hai khuda nahin hai yun nishane na tak tak ke mar ek hi dil hai dusra nahin hai ye jo hum roz lafz bunte hain masala hai ye mashghala nahin hai todta hai hudun-e-kaun-o-makan dard ka koi daera nahin hai do kinare hain ek main ek tu aur kinaron mein fasla nahin hai koi izhaar ki sabil nahin aag hi aag hai hawa nahin hai ye jo tum maut se daraate ho zindagi sab ka masala nahin hai