koi batlae ki ye turfa tamasha kyun hai aadmi bhid mein rahte hue tanha kyun hai panw phailae hue gham ka andhera kyun hai aa gai subh-e-tamanna to phir aisa kyun hai main to ek zarra-e-nachiz hun aur kuchh bhi nahin wo jo suraj hai mere nam se jalta kyun hai tujh ko nisbat hai agar nam-e-barahim se kuchh aag ko phul samajh aag se darta kyun hai kaun sa ahd hai jis ahd mein hum jite hain dasht to dasht hai dariya yahan pyasa kyun hai pi ke bahkega to ruswai-e-mahfil hogi wo jo kam-zarf hai maikhane mein aaya kyun hai koi aaseb hai ya sirf nigahon ka fareb ek saya mujhe har su nazar aata kyun hai yaad kis ki mah-o-khurshid liye aai hai shab-e-tarik mein aaj itna ujala kyun hai bad-hawasi ka ye aalam kabhi pahle to na tha hashr se pahle hi ye hashr sa barpa kyun hai