koi dushman nahin hota koi hamdam nahin hota jo sach kahte hain un ka koi bhi parcham nahin hota bahaar aae chali jae koi rut ho badal jae magar tabdil teri yaad ka mausam nahin hota zamin atraf ki shadab ho jati hai barish mein jo meri milkiyat mein hai wo khitta nam nahin hota yahan ke log hanste khelte din raat karte hain ajab ye shahr hai is shahr mein matam nahin hota to kya hum laut aae hain asatiri zamane mein ki suraj sar pe hai lekin andhera kam nahin hota huma ka saya pad jae hamare din badal jaen ye baaten karte hain wo log jin mein dam nahin hota