koi ham-dam na raha koi sahaara na raha hum kisi ke na rahe koi hamara na raha sham tanhai ki hai aaegi manzil kaise jo mujhe rah dikha de wahi tara na raha ai nazaro na hanso mil na sakunga tum se tum mere ho na sake main bhi tumhaara na raha kya bataun main kahan yunhi chala jata hun jo mujhe phir se bula le wo ishaara na raha