koi ilzam na duniya mein kisi par rakhna dil lahu ho bhi to chehre ko gul-e-tar rakhna khak ka ho ki ho kanton ka wo bistar ai dost nind aa jaegi takiya tu khuda par rakhna kya khabar rah mein kab sath khushi ka chhute zindagi gham ko bhi sath apne barabar rakhna dekh aankhon ki zamin hai na laraz jae kahin ai tasawwur tu yahan panw sanbhal kar rakhna zanu-e-yar samajh kar use so jaenge hum gharibon ke sirhane zara patthar rakhna chahta hai ye mere daur ka dastur 'nasib' tishnagi dil mein to aankhon mein samundar rakhna