koi mere pas nahin hai aur na kisi ka hasil main lahren aa kar sar patkengi tanha tanha sahil main kya paya hai kya banta hai apne apne zarf ki baat tu ne meri hansi udai tere dukhon mein shamil main agle qadam pe andha kuan tha is ka mujh ko ilm bhi tha lekin main ne rah na badli apne aap ka qatil main bichhad gaya par aas hai mujh ko ek din tujh se milna hai teri zat ka mehwar tha main tere safar ki manzil main ujle bistar par tanhai pyase honton par cigarette padhte padhte so jata hun ibn-e-safi ka nowel main rasta manzil khalwat mahfil mahken teri yaadon se lamha-lamha tujh ko socha tujh se raha kab ghafil main