koi nazron mein samae to ghazal hoti hai

koi nazron mein samae to ghazal hoti hai
chah diwana banae to ghazal hoti hai

dard jab hashr jagae to ghazal hoti hai
aah jab rah na pae to ghazal hoti hai

jam par jam chhalakte hon teri nazron ke
aur ghata jhum ke aae to ghazal hoti hai

dil ko diwana-e-didar bana kar koi
parda chehre se uthae to ghazal hoti hai

ho ke mail-ba-karam ghair pe dilbar koi
dil pe aara sa chalae to ghazal hoti hai

'shaikh' aasan nahin taskhir-e-sukhan ki manzil
zindagi ras na aae to ghazal hoti hai


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close