koi sanam to ho koi apna khuda to ho is dasht-e-be-kasi mein koi aasra to ho kuchh dhundle dhundle khwab hain kuchh kanpte charagh zad-e-safar yahi hai kuchh is ke siwa to ho suraj hi jab na chamke to pighlegi barf kya ban jaen wo bhi mom magar dil dukha to ho har chehra maslahat ki naqabon mein kho gaya mil baithen kis ke sath koi aashna to ho khamosh pattharon ki tarah kyun hua hai shahr dhadkan dilon ki gar nahin aawaz-e-pa to ho baqi hai ek dard ka rishta so wo bhi ab kis se nibhaen hum koi dard-ashna to ho