koi sitara-e-girdab aashna tha main ki mauj mauj andheron mein dubta tha main us ek chehre mein aabaad the kai chehre us ek shakhs mein kis kis ko dekhta tha main nae sitare meri raushni mein chalte the charagh tha ki sar-e-rah jal raha tha main safar mein ishq ke ek aisa marhala aaya wo dhundta tha mujhe aur kho gaya tha main tamam umr ka hasil sarab o tishna-labi mera qusur yahi tha ki sochta tha main bigad raha tha main duniya ke zawiye se magar ek aur zawiya tha jis se ban raha tha main nahin raha main tere raste ka patthar bhi wo din bhi the tere ehsas mein khuda tha main mujhe gila na kisi sang ka na aahan ka usi ne tod diya jis ka aaina tha main