koi surat-ashna apna na begana koi kuchh kaho yaro ye basti hai ki virana koi subh-dam dekha to sara bagh tha gul ki taraf shama ke tabut par roya na parwana koi khalwaton mein roegi chhup-chhup ke laila-e-ghazal is bayaban mein na ab aaega diwana koi ham-nashin khamosh diwaren bhi sunti hain yahan raat dhal jae to phir chhedenge afsana koi