koi to dil ki nigahon se dekhta jae hamari ruh ke kuchh gham sametta jae tumhaare milne ki har aas aaj tut gai tumhin batao ki ab kis tarah jiya jae zara to sochiye us dil ka haal kya hoga talash-e-gul mein jo patthar ki chot kha jae saja ke tum ko gulon se uthae hain patthar zamana kitna sitamgar hai kya kiya jae karenge kaise haqiqat ka samna hum log hamein to khwab hi koi dikha diya jae kisi tarah to andhere ghamon ke chhat jaen mera bujha hua dil hi koi jala jae rah-e-hayat mein kante bichhen ki phul khilen ye shart hai teri jaanib wo rasta jae