koi to sarsari hadtal par hai to koi mantiqi hadtal par hai hamare gham hue hain itne abtar hamari har khushi hadtal par hai kisi ki lash be-gor-o-kafan hai kisi ki zindagi hadtal par hai koi daulat ke hathon tang hai aur kisi ki muflisi hadtal par hai khuda se chand mangen hain hamari hamari bandagi hadtal par hai imamat masjidon tak rah gai hai jabhi to muqtadi hadtal par hai mashinon par mashinen aa rahi hain bechaara mistiri hadtal par hai ye dukhiyaron ki basti hai meri jaan yahan har aadmi hadtal par hai