koi ye 'iqbaal' se ja kar zara puchhe 'ziya' muddaton se kyun teri bang-e-dara khamosh hai ek arsa ho gaya naghme nahin firdaus-e-gosh tishna-e-saz-e-lab-e-'iqbaal' har ek gosh hai bazm-e-hasti mein wahi ab tak hai paida intishaar khud hi muslim muztarib hai khud musibat-kosh hai is gulistan mein manazir ka wahi hai rang bhi dekhne wala fareb-e-did mein madhosh hai khun shahidon ka rawan hai jang ke maidan mein aur ghazi ki zaban par nara-e-pur-josh hai kya qalam jaulaniyan apni dikha sakta nahin wo qalam jis ki nawa bhi sur ki ham-dosh hai kya tere jazbaat ke shoale bhadak sakte nahin kya tera wo gulkhan-e-pur-soz ab gul-posh hai kya abhi baqi hai teri ruh mein agli tadap aa main dekhun ab bhi kya sine mein tere josh hai hashr hai aalam mein barpa aur tu hai mutmain shor hai mahfil mein paida aur tu khamosh hai jag utthi qaum tere naghma-e-bedar se pahle wo behosh thi aur aaj to behosh hai kund talwaren huin ahd-e-zira-poshi gaya jag uth ghaflat se waqt-e-khud-faramoshi gaya