kucha-e-ishq se kuchh khwab utha kar le aae the gada tohfa-e-nayab utha kar le aae kaun si kashti mein baithen tere bande maula ab jo duniya koi sailab utha kar le aae hae wo log gae chand se milne aur phir apne hi tute hue khwab utha kar le aae aisa ziddi tha mera ishq na bahla phir bhi log sach-much kai mahtab utha kar le aae sath-e-sahil na rahi jab koi qimat in ki hum khazanon ko tah-e-ab utha kar le aae jab mila husn bhi harjai to us bazm se hum ishq-e-awara ko betab utha kar le aae is ko kam-zarfi-e-rindan-e-girami kahiye nashe chhod aae mai-e-nab utha kar le aae anjuman-sazi-e-arbab-e-hunar kya kahiye un ko wo aur unhen ahbab utha kar le aae hum wo shair hamein likhne lage jab log to hum guftugu ke nae aadab utha kar le aae khwab mein lazzat-e-yak-khwab hai duniya meri aur mere falsafi asbab utha kar le aae