kuchh aise chashm-e-tamanna ko aazmaya gaya

kuchh aise chashm-e-tamanna ko aazmaya gaya
kisi bhi aks ko pura nahin dikhaya gaya

darun-e-khwab dikha kar koi hasin paikar
hamare honton ka masraf hamein sujhaya gaya

adhura chhod diya ishq is liye hum ne
hamein ye kaam mukammal nahin sikhaya gaya

phir is ke baad uthenge faqat sar-e-mahshar
gar aaj bazm se un ki hamein uthaya gaya gaya

mataa-e-millat-e-ghaflat-shiar luti gai
phir is ke baad use nind se jagaya gaya

kabhi khuda kabhi duniya kabhi mohabbat ka
hamare dil mein sada khauf hi bithaya gaya

ajab moamla rakkha zamane walon ne
jahan qayam tha lazim wahin giraya gaya

darakht aaj bhi hum ko duaen dete hain
ki jin se nam tumhaara nahin mitaya gaya

wo aaj aaegi chhat par saheliyon ke sath
'qamar' sitaron ko lara ajab lagaya gaya


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close