kuchh aise ki hai ada rasm-e-bandagi main ne guzar di tere wade pe zindagi main ne uda ke dhajjiyan daman ki karta kyon ruswa junun mein ki na gawara darindagi main ne zara bhi shikwa-e-jaur-o-jafa nahin lab par teri raza ko jo samjha hai bandagi main ne aziz jaan se zyaada mujhe hai ye gham dost ki gham mein pai hai ek sharh-e-zindagi main ne huzur-e-husn hua hai ye waqia aksar hawas-o-hosh ki dekhi parindagi main ne ziya-e-mehr-e-hidayat ki tabishen le kar jala di kufr-o-zalalat ki gandagi main ne misal-e-lala-o-sahra saham saham ke raha hujum-e-khar mein kati hai zindagi main ne lagaen kufr ke fatwe hazar ahl-e-khirad kiya hai pesh-e-sanam ahd-e-bandagi main ne na milne par bhi use 'aish' pyar karta hun yun uncha kar diya mear-e-zindagi main ne