kuchh aisi chal rahi thi hawa dil nahin laga mele mein zindagi ke zara dil nahin laga tanhaiyon ne mujh ko nawaza tamam umr mahfil ke shor mein ba-khuda dil nahin laga duniya-e-karobar mein ai tajir-e-azim sara mata-o-mal laga dil nahin laga main raunaqon se shahr ki mayus jab hua ahl-e-khirad ne mujh se kaha dil nahin laga be-zariyon ka puchha jo ahbab ne sabab main ne jawab un ko diya dil nahin laga 'amjad' to chaar din ko hi thahra sarae mein phir bhi wahan sukun na mila dil nahin laga