kuchh aql bhi rakhta hai junun-zad hamara ab ishq mein pagal nahin farhad hamara khemon se ubharne lagin matam ki sadaen aur hum se khafa ho gaya sajjad hamara ek phul ke khilne se bahut pahle jahan mein ek khwab hua jata hai barbaad hamara ek soch ki mahdud hi rahti hai rahegi ek dil ka parinda hai ki aazad hamara ye bazm-e-sukhan saz-e-sukhan hi ki tag-o-taz sunta hai yahan har koi irshad hamara ye talkhi-e-qismat hai ki sanson ki ata hai aahon se bhare daman-e-fariyaad hamara hum qafiya-paima nahin shair hue 'hassan' aur mir-taqi-'mir' hai ustad hamara