kuchh bhi na jab dikhai de tab dekhta hun main phir bhi ye khauf sa hai ki sab dekhta hun main aankhen tumhaare hath pe rakh kar main chal diya ab tum pe munhasir hai ki kab dekhta hun main aahat aqab se aai aur aage nikal gai jo pahle dekhna tha wo ab dekhta hun main ye waqt bhi batata hai aadab-e-waqt bhi is tutte sitare ko jab dekhta hun main ab yan se kaun de meri chashm-e-talab ko dad jis fasle se bab-e-talab dekhta hun main in putliyon ka qarz chukata hun kya karun bas dil se dil milata hun jab dekhta hun main nakaam-e-ishq hun so mera dekhna bhi dekh kam dekhta hun aur ghazab dekhta hun main