kuchh din to baso meri aankhon mein phir khwab agar ho jao to kya koi rang to do mere chehre ko phir zakhm agar mahkao to kya jab hum hi na mahke phir sahab tum baad-e-saba kahlao to kya ek aaina tha so tut gaya ab khud se agar sharmao to kya tum aas bandhane wale the ab tum bhi hamein thukrao to kya duniya bhi wahi aur tum bhi wahi phir tum se aas lagao to kya main tanha tha main tanha hun tum aao to kya na aao to kya jab dekhne wala koi nahin bujh jao to kya gahnao to kya ab wahm hai ye duniya is mein kuchh khoo to kya aur pao to kya hai yun bhi ziyan aur yun bhi ziyan ji jao to kya mar jao to kya