kuchh is ada se hamein gham-gusar milte hain hazar zakhm pas-e-e'tibar milte hain shab-e-firaq ki wahshat na puchhiye hum se hum apne hijr se diwana-war milte hain ye shahr-e-zakhm-faroshan hai hae kya kije ki pa-e-gul bhi yahan khar khar milte hain wo jin ki kokh mein shauq-e-khirad panapta hai wo walwale bhi junun ka shikar milte hain saja ke rakhte hain jin ko chamak ki khwahish mein wo aaine bhi hamein dagh-dar milte hain hamein unhi se tawaqqo hai 'naz' manzil ki jo raste hamein ban kar ghubar milte hain