kuchh kaam nahin hai yahan wahshat ke barabar so tum hamein gham do koi himmat ke barabar kab lagta hai ji rah-e-sahulat mein hamesha aur milta hai kab ranj zarurat ke barabar aasaish-o-aram ho ya jah-o-hasham ho kya chiz yahan par hai mohabbat ke barabar gunjaish-e-afsos nikal aati hai har roz masruf nahin rahta hun fursat ke barabar bhar lae hain hum aankh mein rakhne ko muqabil ek khwab-e-tamanna teri ghaflat ke barabar rakh denge tere panw mein hum mauj mein aa kar duniya hai kahan jaan ki qimat ke barabar phir kashmakash-e-sud-o-ziyan kar-e-ziyan hai jab jit bhi thahri hai hazimat ke barabar jine mein jo ehsas-e-tafakhur hai kahan hai jite chale jaane ki nadamat ke barabar