kuchh khilaune kabhi aangan mein dikhai dete kash hum bhi kisi bachche ko mithai dete sune panghat ka koi dard-bhara git the hum shahr ke shor mein kya tujh ko sunai dete kahin be-nur na ho jaen wo budhi aankhen ghar mein darte the khabar bhi mere bhai dete sath rahne se bhi khil jate hain rishton ke kanwal bandishen rone lagin mujh ko rihai dete in sisakte hue rishton ke kahan the qail warna hum aur tujhe dagh-e-judai dete siskiyan us ki na dekhi gain mujh se 'rana' ro pada main bhi use pahli kamai dete