kuchh nahin hasil sipar ko chir ko ya talwar tod hai agar taqat to mere aansuon ka tar tod teri chashm o zulf se sauda-e-ham-chashmi kiya ai sanam baadam-e-chashm-e-ahu-e-tatar tod zulf mein moti pirona mere haq mein zahr hai aaj ai mashshata-e-dandan dahan-e-yar tod silsila gabr-o-musalman ki adawat ka mita ai pari be-parda ho kar subha-o-zunnar tod kibr bhi hai shirk ai zahid muwahhid ke huzur le ke tesha khaksari ka but-e-pindar tod aab-e-gauhar se badan ki aab hoti hai kharab bojh hai ai naznin ye motiyon ka haar tod sharm kab tak ai pari la hath kar iqrar-e-wasl apne dil ko sakht kar ke rishta-e-inkar tod sabr kab tak rah paida ho ki ai dil jaan jae ek takkar mar kar sar phod ya diwar tod ai zulekha naqd-e-jaan hum den laga tu ganj-e-zar qimat-e-yusuf ka ho jae sar-e-bazar tod wasf-e-chashm-e-yar likhne ke liye ai dast-e-shauq chal kisi gulshan mein shakh-e-nargis-e-bimar tod chadh ke kothe par dikha de apne abru mein shikan ai pari-paikar halak-e-charkh ki talwar tod aaina hai mane-e-nazzara-e-husn-o-jamal ho sake to sadd-e-askandar ko ai dildar tod mane-e-masti ko bad-masti dikhana chahiye mohtasib ka shisha-e-dil ai bu-e-mai-khwar tod husn-e-peshani se qasr-e-charkh ko barbaad kar lauh-e-quran se tilism-e-gumbad-e-dawwar tod nam ko ai dil na rakh asbab-e-islah-e-junun wadi-e-wahshat mein chal kar nashtar-e-har-khar tod aankhen phod us ki jo dekhe be-ijazat munh tera shauq se ai mast jam-e-sharbat-e-didar tod ishq-e-zulf-e-ambar-afshan ka na tute silsila panw ki zanjir ai dast-e-junun sau bar tod sail-e-bosa hain un ko dekh chashm-e-qahr se aankh ke dhelon se ai but khatir-e-aghyar tod husn-e-gham mein ek muddat se muqayyad hai 'munir' fikr-e-duniya ka hisar ai haidar-e-karrar tod