kuchh rup-nagar ka zikr karo kuchh rang-mahal ki baat karo rangin faza hai mahfil ki rangin ghazal ki baat karo rindon ko na ab talon kal par rindon se na kal ki baat karo tum aaj hamare saqi ho tum aaj na halki baat karo hai subh-e-banaras rup us ka to sham-e-awadh gesu us ke wo meri ghazal hai meri ghazal tum meri ghazal ki baat karo taqrir ki lazzat be-mani tahrir ki nudrat la-hasil ye fikr-o-amal ki hai duniya kuchh fikr-o-amal ki baat karo baithe ho 'aziz' apne aise ahbab ki rangin mahfil mein tauba ke tasawwur se pahle iman ke khalal ki baat karo