kuchh soch ke parwana mahfil mein jala hoga shayad isi marne mein jine ka maza hoga har sai-e-sitam par aansu nikal aae hain anjam-e-tarab-koshi kya jaaniye kya hoga gumrah-e-mohabbat hun puchho na meri manzil har naqsh-e-qadam mera manzil ka pata hoga kya tera mudawa ho dard-e-shab-e-tanhai chup rahiye to barbaadi kahiye to gila hoga katra ke to jate ho diwane ke raste se diwana lipat jae qadmon se to kya hoga maikhane se masjid tak milte hain nuqush-e-pa ya shaikh gae honge ya rind gaya hoga farzanon ka kya kahna har baat pe ladte hain diwane se diwana shayad hi lada hoga rindon ko 'hafiz' itna samjha de koi ja kar aapas mein ladoge tum waiz ka bhala hoga