kuchh yahan farq hai apne ka na begane ka

By azmat-bhopaliOctober 3, 2021
kuchh yahan farq hai apne ka na begane ka
ek dastur hai har daur mein maikhane ka
raqs-e-mina hai na wo daur hai paimane ka
in dinon haal hi kuchh aur hai maikhane ka


main to har haal mein ji lunga magar jalwa-e-dost
bin tere dil nahin gosha hai ye virane ka
shohrat-e-am to hasil thi par aisi bhi na thi
log unwan bana len mujhe afsane ka


wo gaya waqt ki jab dil ko na thi gham se najat
ye zamana to hai hans hans ke jiye jaane ka
aise khoe rahe hum rah-rawi mein 'azmat'
hosh aaya nahin manzil pe thahar jaane ka


83731 viewsghazalEnglish