kuchh yun bhi mujhe ras hain tanhaiyan apni rahti hain jilau mein mere parchhaiyan apni mashhur yahi log kabhi ahl-e-nazar the! ab dhundte phirte hain jo binaiyan apni apna hi sahaara tha sar-e-marka-e-zat kis kaam ki thin warna saf-araiyan apni main aur bhare shahr mein is tarah akela! wo saunp gaya hai mujhe tanhaiyan apni lau tum ne charaghon ki badhai to hai 'rashid' ghere mein na le len tumhein parchhaiyan apni