kuduraton ke darmiyan adawaton ke darmiyan

kuduraton ke darmiyan adawaton ke darmiyan
tamam dost ajnabi hain doston ke darmiyan

shuur-e-asr dhundhta raha hai mujh ko aur main
magan hun ahd-e-raftagan ki azmaton ke darmiyan

ye sochte hain kab talak zamir ko bachaenge
agar yunhi jiya kiye zaruraton ke darmiyan

abhi shikast kya ki razm-e-akhiri ek aur hai
pukarti hai zindagi hazimaton ke darmiyan

zamir-e-asr mein kabhi nawa-e-dard mein kabhi
sukhan-sara to main bhi hun sadaqaton ke darmiyan


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close