kya aaj un se apni mulaqat ho gai sahra pe jaise tut ke barsat ho gai viran bastiyon mein mera din hua tamam sunsan jangalon mein mujhe raat ho gai karti hai yun bhi baat mohabbat kabhi kabhi nazren milin na hont hile baat ho gai zalim zamana hum ko agar de gaya shikast bazi mohabbaton ki agar mat ho gai hum ko nigal saken ye andheron mein dam kahan jab chandni se apni mulaqat ho gai bazar jaana aaj saphal ho gaya mera barson ke baad un se mulaqat ho gai