kya ab meri kahani mein main hun gale tak pani mein jaise main shamil hi nahin apni sar-o-samani mein meri tarah thahrega kaun sail-e-harf-o-maani mein rakkho mujhe ek tinke par dekho mujhe tughyani mein ek aaina todo aur dalo mujhe hairani mein ek khandar hun yaadon ka jhanko meri virani mein be-payan be-hadd-o-hisab main apni jaulani mein gard meri sab tir o ghazal main aage hun rawani mein lutf mujhe aata hai 'ramz' apni marsiya-khwani mein