kya bataun kaisa khud ko dar-ba-dar main ne kiya umr-bhar kis kis ke hisse ka safar main ne kiya tu to nafrat bhi na kar paega is shiddat ke sath jis bala ka pyar tujh se be-khabar main ne kiya kaise bachchon ko bataun raston ke pech-o-kham zindagi-bhar to kitabon ka safar main ne kiya kis ko fursat thi ki batlata tujhe itni si baat khud se kya bartaw tujh se chhut kar main ne kiya chand jazbaati se rishton ke bachane ko 'wasim' kaisa kaisa jabr apne aap par main ne kiya