kya hamare shauq bhi wo kaj-ada le jaega hum bhi jaenge jahan ab rasta le jaega yun hua ki sab aqaed radd kar baitha hun main dekhna hai ab kahan shauq-e-khuda le jaega bosa le kar mere mathe ka kisi ne ye kaha tu jahan bhi jaega mere hawale jaega teri nadani ye tera zoam hai tu yaad rakh ek hi aansu teri duniya baha le jaega apna kya hai har nafas par ghair ka ab aks hai dushman-e-jaani bhi aaya to dua le jaega