kya jaano jo asar hai dam-e-shoala-tab mein ye wo hai barq aag laga de naqab mein haal is nigah ka us ke sarape mein kya kahun mor-e-zaif phans gai ja shahd-e-nab mein zikr-e-wafa wo sunte hi majlis se uth gae kuchh guftugu hi thik na thi aise bab mein kya puchhte ho chaara-e-hu az-khwesh-e-raftagan so ja se chaak jama hai sozan khullab mein aawaz-e-sur tere shahidon ko roz-e-hashr lagti thi ek bhanak si to kanon ko khwab mein jo dekhte hi us se ye guzra kabhu nahin yaqub ke khayal o zulekha ke khwab mein har har roen se khirqa ke mere hai khun-chakan ghote to sau diye use zamzam ke aab mein is chashm-e-ashk-bar ke kyunkar ho samne rone ka madda hi nahin hai sahab mein qismat to dekh kholi girah kuchh to rah gae nakhun hamare tut ke band-e-naqab mein har-waqt aarzu-e-azab-e-jahim hai hathon se hijr ke hun main kya kya azab mein