kya jurm hamara hai bata kyun nahin dete mujrim hain agar hum to saza kyun nahin dete kya jalwa-e-mani hai dikha kyun nahin dete diwar-e-hijabaat gira kyun nahin dete tum ko to bada naz-e-masihai tha yaro bimar hai har shakhs dawa kyun nahin dete kis dasht mein gum ho gae ahbab hamare hum kan lagae hain sada kyun nahin dete kam-zarf hain jo pi ke bahut ke hain sar-e-bazm mahfil se unhen aap utha kyun nahin dete kyun hath mein larza hai tumhein khauf hai kis ka hum harf-e-ghalat hain to mita kyun nahin dete kuchh log abhi ishq mein gustakh bahut hain aadab-e-wafa un ko sikha kyun nahin dete naghma wahi naghma hai utar jae jo dil mein duniya ko 'hafiz' aap bata kyun nahin dete