kya khabar hijr ki shab ki bhi sahar hoti hai kis tarah dekhiye ye raat basar hoti hai tere diwanon ki mahfil mein hai pahchan yahi reg-e-sahra se siwa khak-basar hoti hai kaam bigde hue ban jate hain aksar mere jab kabhi teri inayat ki nazar hoti hai katta hun shab-e-furqat isi arman ke sath dub jate hain sitare to sahar hoti hai zulf-o-zulf jo tul-e-shab-e-hijran ban jae chashm wo chashm jo paikan-e-jigar hoti hai chandni mand pade aisi sabahat un ki shakl dekhe to koi rashk-e-qamar hoti hai rasm-e-ulfat mein yahi hota hai aksar ai 'nur' dub jate hain safine to khabar hoti hai